Kya Aapki Bhi Marksheet Mai Koi Error Hai Aapke Name,Father Name etc To Aapko Kya Kya Documents Chaye Marksheet Mai Correction Karane Ke Sabhi Documents mai Aapko Details Mai Batane Wala Hu.Mai Aapko Sabhi Documents Bilkul Thik Batane Wala Hu Qki Inhi Documents Se Mene Khud Bhi Apni Marksheet Thik Karayi hai.To Aap Bhi Samajh Sakte Hai Ki Ye Sabhi Documents Thik He Honge Qki Inhi Se Meri Marksheet Thik Ho Gayi Hai.
Chaliye Mai Aapko Phle Apni Old Marksheet Dikha Deta Hu Jisme Error Thi Phle Hum Is Marksheet Ko Dekhenge Uske Baad Hum New Marksheet Dekhenge.
Chlye Aab Aapko Btate Hai Ki Aapke Kya Kya Documents Lagne Wale Hai.
1. Application
2. Counter Sign
3 Affidavit
4.Original Marksheet
5. Copy of Tc ( Optional )
6. Dusri Marksheet Ki Photo Copy Jisme Name Thik Hai.
Ye Sabhi Documents Aapko Apne Board office Post Kar Dene hai Thik 2 Months Baad Aapko Apne School Mai Pata karna Hai Aapki Marksheet Vha Aa Gayi Hogi.Itne Time Se Thoda jada Bhi Lag Sakta hai To Aap Bilkul Bhi Pareshan Na Ho Kabhi Kabhi Time Thoda Jada Bhi Lag Jata Hai.
Aab Chlye Mai Aapko Apni New Marksheet Dikha Deta Hu.Jisme Mera Name Thik Ho Chuka Hai -
Ye Meri New Marksheet Hai.Isme Aapko Dikh Rha Hoga Mera Name Bilkul Thik Ho Gaya Hai.Is Pure Process Mai Mere Vhi 500 Ke Aas Paas Paise Kharch Hue Hai Or 3 Months Lage The Marksheet Thik Hone Mai.
Aab Aapko Believe Ho gaya Hoga Ki Ye Sabhi Documents Bilkul Thik Hai Qki Aapne Proff Dekh Liya Hai Aapne Meri Old Or new Dono Marksheet Dekh Li Hai.Agar Aap Bhi Apni Marksheet Ko Thik Karana Chate Hai To Aap same Documents Collect Kijye or Apni Marksheet Thik Kara Lijye.
Jada Jankari Ke Liye Is Video Ko Dekhye " https://youtu.be/30S_advCbV4 "
Blog Writer
Rohit Tomar